Khamoshi Bool Padi
Meri Khamoshi Bool Padi Mere Dil Ki ZubanHokar
Bataye Aasoun Ne Mere Aankh Se RawanaHokar
Sunaya Naa Dil Ka Haal Zuban Se Zamane Ke Darr Se
Sunaya Ab Apna Haal-E-Dil Hum Bezuban Hokar
Chupa Lete Hain Hum Apni Aah Ko Apne Hi Seene Mein
Magar Darti Hoon Phat Jaye Ye Aatish Fishan Hokar
Taluq Toot Gaye Subse….Unse Milte Lekin…..
Ke Ab Tho Reh Gaye Hum Sabse Naa Aashna Hokar
To Ab Badhega Humari Qismat Ka Tara Bhi
Kabhi Chamkegi Qismat Bhi Humari Kehkashan Hokar
Mangte Rehenge Milne Ki Dua Tumhari Rubb Se
Kabhi Rehmat Woh Farmayega Humpe Meherbaan Ho Ke
Thanks Best Regards
Written By
Mrs Rubina Yasmeen
Tumhari Yaadein
Tumko to bhul jayenge magar
tumhari yaadein kaise bhulayenge
jab bhi hogi pehli baarish
tumko samne payenge
woh bundo se bhara chehra
tumhara hum kaise dekh payenge
bahegi jab bhi sard hawaein
hum khud ko tanha payenge
ehsaas tumhare saath ka
hum kaise mehsoos kar payenge
is daudti hui zindagi mein
to hum bilkul hi ruk hi jayenge
thaam lo hume thamne se pehle
hum kaise yun ji payenge
le dubega ye dard humein
aur hum jeete ji mar jayenge…
Ansoo Ho Jo Tere Daman mein…!
Ansu Ho Jo Tere Daman Mein To Unhe Ankhon Tak Na Lana,
Alfazon Ki Shyahi Se Unhen Hum Tak Pahuchana..,
Sambhalega Yeh Sagar Teri Ankh Ke Har moti Ko Kuch Is Tarah..,
Ki Banjaye Har Moti meri zindagi Ka Khazana…!
No comments:
Post a Comment